Zaeef Hadees Kay Man'nay Walon Ko Imaam--ul-Muhaddiseen Imam Muslim (R.A) Ki Naseehat |
Jo Shakhs Zaeef Hadees Kay Jan'nay Kay Bawujood Bayan Nahi Karta To Wo Apnay Iss Fale Ki Waja Say Gunehgar Aur Awam-un-Naas Ko Dhoka Deta Hai Kiukay Mumkin Hai Kay Uski Bayan Karda Ahadees Ko Sun'nay Wala Inn Sab Par Ya Inn May Say Baaz Par Amal Karay Aur Ye Mumkin Hai Kay Wo Sab Ahadees Ya Unn May Say Aksar Ahadees Jhooti Hon Aur Unki Koi Asal Na Ho Jab KayNOTE : Logon Say Guzarish Hai Kay Jab Koi Hadees Kisi Say Sunain Uska Hawala Zarur Talab Karain Aur Ankhain Band Kar Kay Kisi Par Bhee Bharosa Na Karain. Hadees Ki Tahqeeq Khud Bhee Karain Kay Ye Hadees Sahih Hai, Zaeef Hai Ya Majhool Hai.
" Sahih Hadees Iss Qadar Hain Kay Unkay Hotay Huwe Zaeef Hadees Ki Zuroorat He Nahi Hai "Bohat Say Wo Loge Jo Zaeef Aur Majhool Asaneed Wali Riwayat Ko Jan'nay Kay Bawujood Bayan Kartay Hain Mehaz Iss Liye Kay Awam-un-Naas Kay Haan Unki Shohrat Ho Aur Ye Kaha Jaye Kay Is Kay Paas Kitni Ahadees Hain Aur Iss Nay Kitni Kitabain Taleef Kardi Hain Aur Jo Shakhs Ilm Kay Muamlay May Iss Rawish Ko Ikhteyar Karta Hai Uss Kay Liye Ilm May Kuch Hissa Nahi Hai Aur Usay Aalim Kehnay Ki Bajaye Jahil Kehna Zeyada Munasib Hai. "
Khol Ankh Zameen Daikh Falak Daikh Fiza DaikhMashriq Say Ubhartay Huwe Sooraj Ko Zara Daikh
No comments:
Post a Comment
Barah-e-Meharbani Shaista Zuban Istemal Karain.
Shukriya.