Friday, February 14, 2014

Celebrating Valentine's Day Is Haram And Gunah-e-Kabeera In Islam

Valentine's Day Is Haram And Gunah-e-Kabeera In Islam


Some People In Our Society Are Trying To Label This Day In Islam As Haya Day. Please Keep In Mind That It Is Also Forbidden In Islam. For Example If We Change The Name Of Wine Or Whisky And Give It An Islamic Name, It Will Still Be Not Allowed In Islam. Therefore Muslims Should Not Celebrate This Valentine's Day.

Friday, September 27, 2013

Zaeef Hadees Kay Man'nay Walon Ko Imaam-ul-Muhaddiseen Imam Muslim (R.A) Ki Naseehat

Zaeef Hadees Kay Man'nay Walon Ko Imaam--ul-Muhaddiseen Imam Muslim (R.A) Ki Naseehat
Zaeef Hadees Kay Man'nay Walon Ko Imaam--ul-Muhaddiseen Imam Muslim (R.A) Ki Naseehat

Jo Shakhs Zaeef Hadees Kay Jan'nay Kay Bawujood Bayan Nahi Karta To Wo Apnay Iss Fale Ki Waja Say Gunehgar Aur Awam-un-Naas Ko Dhoka Deta Hai Kiukay Mumkin Hai Kay Uski Bayan Karda Ahadees Ko Sun'nay Wala Inn Sab Par Ya Inn May Say Baaz Par Amal Karay Aur Ye Mumkin Hai Kay Wo Sab Ahadees Ya Unn May Say Aksar Ahadees Jhooti Hon Aur Unki Koi Asal Na Ho Jab Kay
" Sahih Hadees Iss Qadar Hain Kay Unkay Hotay Huwe Zaeef Hadees Ki Zuroorat He Nahi Hai "
Bohat Say Wo Loge Jo Zaeef Aur Majhool Asaneed Wali Riwayat Ko Jan'nay Kay Bawujood Bayan Kartay Hain Mehaz Iss Liye Kay Awam-un-Naas Kay Haan Unki Shohrat Ho Aur Ye Kaha Jaye Kay Is Kay Paas Kitni Ahadees Hain Aur Iss Nay Kitni Kitabain Taleef Kardi Hain Aur Jo Shakhs Ilm Kay Muamlay May Iss Rawish Ko Ikhteyar Karta Hai Uss Kay Liye Ilm May Kuch Hissa Nahi Hai Aur Usay Aalim Kehnay Ki Bajaye Jahil Kehna Zeyada Munasib Hai. "
 NOTE : Logon Say Guzarish Hai Kay Jab Koi Hadees Kisi Say Sunain Uska Hawala Zarur Talab Karain Aur Ankhain Band Kar Kay Kisi Par Bhee Bharosa Na Karain. Hadees Ki Tahqeeq Khud Bhee Karain Kay Ye Hadees Sahih Hai, Zaeef Hai Ya Majhool Hai.

Khol Ankh Zameen Daikh Falak Daikh Fiza Daikh
Mashriq Say Ubhartay Huwe Sooraj Ko Zara Daikh

Sunday, September 22, 2013

Sitaron Ka Haal Aur Dast Shanasi Islami Taleemat Ki Roshni May

Sitaron Ka Haal Aur Dast Shanasi Islami Taleemat Ki Roshni May
Sitaron Ka Haal Aur Dast Shanasi Islami Taleemat Ki Roshni May
Dast Shanasi Ya Sitaron Kay Haal Say Apni Qismat Maloom Karna, Ye Bohat Bara Shirk Hai, Aur Allah Ka Irshad Hai Kay Mein Har Gunah Ko Muaaf Kar Sakta Hoon Lekin Shirk Ko Kabhi Muaaf Nahi Kar Sakta. Ghaib Kay Khazanon Ki Chabiyan Sirf Allah Malik-ul-Mulk Kay Paas Hain. Jadoo Tonay Ki Haqeeqat Kisi Had Tak Maujood Hai. Lekin Rusoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Iss Ilm Kay Zariye Qismat Ka Haal Maloom Karna Ya Iss Qism Kay Aur Kaam Karnay Say Sakhti Say Mana Farmaya Hai Kiunkay Ye Kaam Bari Gumrahiyon Ki Taraf Lay Janay Walay Hain...

Aaj Kal Hamaray Moashray May Jadoo, Tonay, Taweez Waghera Kay Riawaj Nay Kuch Zeyada He Zore Pakar Liya Hai, Iski Waja Jahalat, Kam Aqli Aur Deeni Ilm Say Doori Hai.
Quran-e-Majeed Aur Sahih Ahadees Par Mushtamil Seedhay Sadhay Ilm Ko Chor Kar Jab Logon Nay Jaali Aamilon Aur Peeron Ka Rukh Kiya To In Logon Nay Bhee Awam Ki Jaib Khali Karnay Kay Liye Iss Kaam Ko Paisha Bana Liya...
Ye Loge Aaj Tak Hamaray Gali Mohallon May Jaga Jaga Apni Dukan Sajaye Baithay Hain Aur Logon Ko Jin Utarnay Kay Bahanay, Aur Jadoo Khatam Karnay Kay Bahanay Aur Tarah Tarah Ki Beemarian Bata Kar Loot'tay Hain. Logon Ko Chahiye Kay Wo Inn Jaali Peeron Aur Aamilon Say Hoshiyar Rahain Aur Inn Say Apna Deen, Maal Aur Izzat Bachanyen Takay Moashray May Maujood Aisay Anasir Ki Hosala Shikni Ho Sakay..

JazakaALLAHu Khair..

Friday, September 20, 2013

Kaya Larka Larki Shadi Say Pehlay Aik Doosray Ko Daikh Saktay Hain ?

Kaya Larka Larki Shadi Say Pehlay Aik Doosray Ko Daikh Saktay Hain

Islam May Iss Baat Ki Ijazat Maujood Hai Kay Larka Larki Shadi Say Pehlay Aik Doosray Ko Aik Bar Daikh Lain. Lekin Iska Matlab Yeh Nahi Kay Wo Bar Bar Aapas May Milna Aur Aik Doosray Ko Dekhna Shuru Kar Dain...
Ijazat Iss Liye Di Gai Hai Kay Shadi Kay Baad Unhay Itna Yaqeen Ho Kay Shadi Usi Say Ki Gai Jiss Say Baat Chalai Gai Thee.

Iss Ijazat Ko Buniyad Bana Kar Aaj Kal Loge Hamaray Moashray May Bohat Si Kharabian Paida Kartay Hain. Aisay Loge Jab Kisi Kisi Larki Kay Ghar Usay Dekhnay Jatay Hain To Yeh Keh Kar Inkar Kar Detay Hain Kay Unhay Larki Pasand Nahi Aai... Iss Tarah Moashray May Kharabian Paida Hoti Hain.

Iss Baat Say Ye Nateeja Bhee Akhaz Kiya Jata Hai Kay Islam Nay Shadi Say Pehlay Mard Aur Aurat Ko Aik Doosray Say Milnay Julnay Ki Ijazat Di Hai. Aur Phir Kuch Loge Iss Baat Ki Buniyad Par Na Mehram Aurat Aur Mard Ki Tanhai May Mulaqat Ko Jaiz Qarar Detay Hain. Halankay Islam May Iski Qat'an Ijazat Nahi Hai, Balkay Ye Gunah-e-Kabeera May Shumar Kiya Jata Hai...

Lehaza Mardon Ko Bhee Ghairat Mand Honay Ka Saboot Dena Chahiye Aur Sirf Usi Aurat Ko Dekhna Jayez Hai ( Wo Bhee Aik Nazar ) Jis Say Wo Nikah Ka Pakka Irada Rakhta Ho..

Wednesday, September 18, 2013

Hijab Ki Aihamyat

Hijab Ki Aihamyat
Hijab Ki Aihamyat

Musalman Mardon Say Guzarish Hai Kay Raah Chaltay Waqt Apni Nigahain Neechi Rakha Karain Takay Pata Chalay Kay Koi Ye Koi Aam Aadmi Nahi Balkay Ummat-e-Muhammadi Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Aik Fard Hai :
HIJAB :
- Zina Say Bachata Hai.
- Zillat-o-Gunah Say Bachata Hai.
- Moashray Ko Fasad Aur Bgarh Say Bachata Hai.
- Sharafat-o-Haya Paida Karta Hai.
- Buri Nazar Say Bachata Hai.

Tuesday, September 17, 2013

Assalam.o.Alaikum

Assalam.o.Alaikum,
Visit This Blog For True Islamic Teachings,
Solution Of Our Common Social Matters In The Light Of Quran-o-Sunnat...
Lectures And Speeches Of Notable And Famous Muslim Scholars From Around The World.
Join This Blog To Get Latest Updates And Share With Your Friends And Families.

JazakaALLAHu Khair...